likhun huruf main ujli ibaraton jaise
likhūñ hurūf maiñ ujlī ibāratoñ jaise
utaar mujh pe bhī alfāz mash.aloñ jaise
koī naved ki ham bhī palaT ke ghar aa.eñ
koī sadā ki haiñ ham bhī musāfiroñ jaise
kise talāsh karoge shaboñ ke jangal meñ
bikhar ga.e haiñ ka.ī dost jugnuoñ jaise
ga.e to aañkh ko sahrā misāl kar ke ga.e
the mere saath bhī kuchh log sāhiloñ jaise
bas ek pal hī hameñ ḳhaak kar gayā 'tāhir'
saje hue the ka.ī ḳhvāb titliyoñ jaise
likhun huruf main ujli ibaraton jaise
utar mujh pe bhi alfaz mashalon jaise
koi nawed ki hum bhi palaT ke ghar aaen
koi sada ki hain hum bhi musafiron jaise
kise talash karoge shabon ke jangal mein
bikhar gae hain kai dost jugnuon jaise
gae to aankh ko sahra misal kar ke gae
the mere sath bhi kuchh log sahilon jaise
bas ek pal hi hamein KHak kar gaya 'tahir'
saje hue the kai KHwab titliyon jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.