lipaT rahi hain jo tujhse duaen meri hain
lipaT rahī haiñ jo tujh se duā.eñ merī haiñ
havā kā shor nahīñ hai sadā.eñ merī haiñ
kisī bhī raah se tum aa sako to aa jaanā
ki shahr merā hai saarī dishā.eñ merī haiñ
uḌā rahe ho yahāñ jin kī dhajjiyāñ tum bhī
ye jaan lo ki vo saarī ridā.eñ merī haiñ
mujhe to gaañv kī miTTī hai jaan se bhī aziiz
vahāñ kī galiyoñ meñ kyā kyā adā.eñ merī haiñ
tumheñ to chāñdnī ban kar fazā meñ ghulnā hai
shab-e-siyāh kī saarī balā.eñ merī haiñ
pahan ke jis ko haiñ aġhyār surḳh-rū 'anjum'
vo sādgī se muzayyan qabā.eñ merī haiñ
lipaT rahi hain jo tujh se duaen meri hain
hawa ka shor nahin hai sadaen meri hain
kisi bhi rah se tum aa sako to aa jaana
ki shahr mera hai sari dishaen meri hain
uDa rahe ho yahan jin ki dhajjiyan tum bhi
ye jaan lo ki wo sari ridaen meri hain
mujhe to ganw ki miTTi hai jaan se bhi aziz
wahan ki galiyon mein kya kya adaen meri hain
tumhein to chandni ban kar faza mein ghulna hai
shab-e-siyah ki sari balaen meri hain
pahan ke jis ko hain aghyar surKH-ru 'anjum'
wo sadgi se muzayyan qabaen meri hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.