lipaT rahi hain salaKHen hamein juda na karo
lipaT rahī haiñ salāḳheñ hameñ judā na karo
jo qaid kar hī liyā hai to phir rihā na karo
na jaane kaun ho muḳhbir yahāñ pe hākim kā
baġhāvatoñ ke liye sab se yuuñ kahā na karo
kahīñ muhāl na ho jaa.e muskurānā bhī
kisī ke ishq meñ ho us kā tazkira na karo
parinde khiḌkī pe baiThe haiñ kaam par jaa.eñ
tum itnī der se ai jān-e-man uThā na karo
manā bhī karte ho phir ḳhud hī chuum lete ho
manā kiyā na karo yā to phir kiyā na karo
har ek shaḳhs yahāñ bas ḳhabar hī DhūñDhtā hai
hamārā naam bhī yūñhī kahīñ liyā na karo
lipaT rahi hain salaKHen hamein juda na karo
jo qaid kar hi liya hai to phir riha na karo
na jaane kaun ho muKHbir yahan pe hakim ka
baghawaton ke liye sab se yun kaha na karo
kahin muhaal na ho jae muskurana bhi
kisi ke ishq mein ho us ka tazkira na karo
parinde khiDki pe baiThe hain kaam par jaen
tum itni der se ai jaan-e-man uTha na karo
mana bhi karte ho phir KHud hi chum lete ho
mana kiya na karo ya to phir kiya na karo
har ek shaKHs yahan bas KHabar hi DhunDhta hai
hamara nam bhi yunhi kahin liya na karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.