liye hue jo mujhe sath sath phirta tha
liye hue jo mujhe saath saath phirtā thā
ye baat un dinoñ kī hai vo jab akelā thā
vo din ga.e ki hunar kī thī garm-bāzārī
tamāshā-gar bhī bahut mo.ajize dikhātā thā
maiñ ik zavāl ke aalam meñ ho rahā thā buland
mirā kamāl kisī aur hī tarah kā thā
maiñ muḌ ke dekhtā thā aur mere sāmne se
guzar rahā thā jo guzrā huā zamāna thā
vo ḳhālī shahr jo ḳhālī nahīñ huā thā abhī
kisī makāñ meñ abhī ek shaḳhs rahtā thā
agar kahīñ koī rasta use khulā na mile
vo aane vaale zamānoñ ko jā nikaltā thā
jo rahne vaale the mil kar akele rahte the
har ek aadmī kā apnā apnā kamra thā
liye hue jo mujhe sath sath phirta tha
ye baat un dinon ki hai wo jab akela tha
wo din gae ki hunar ki thi garm-bazari
tamasha-gar bhi bahut moajize dikhata tha
main ek zawal ke aalam mein ho raha tha buland
mera kamal kisi aur hi tarah ka tha
main muD ke dekhta tha aur mere samne se
guzar raha tha jo guzra hua zamana tha
wo KHali shahr jo KHali nahin hua tha abhi
kisi makan mein abhi ek shaKHs rahta tha
agar kahin koi rasta use khula na mile
wo aane wale zamanon ko ja nikalta tha
jo rahne wale the mil kar akele rahte the
har ek aadmi ka apna apna kamra tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.