liye ja bas apni nazar jaane wale
liye jā bas apnī nazar jaane vaale
na kar rāhbar rāhbar jaane vaale
qayāmat kā hogā vo manzar jahāñ tak
pahuñchte haiñ sab be-nazar jaane vaale
ye kyā mujh meñ aisā nazar aa gayā hai
kidhar aa rahe haiñ kidhar jaane vaale
Thahar kar chaleñge sunā hai yahāñ se
guzarte nahīñ sab guzar jaane vaale
rahī ham-safar ik sadā-e-musalsal
Thahar jaane vaale Thahar jaane vaale
mohabbat kā āġhāz hai choT khā le
mileñge abhī zaḳhm bhar jaane vaale
'amit' aise dar se guzarnā hai behtar
jahāñ dar-guzar hoñ Thahar jaane vaale
liye ja bas apni nazar jaane wale
na kar rahbar rahbar jaane wale
qayamat ka hoga wo manzar jahan tak
pahunchte hain sab be-nazar jaane wale
ye kya mujh mein aisa nazar aa gaya hai
kidhar aa rahe hain kidhar jaane wale
Thahar kar chalenge suna hai yahan se
guzarte nahin sab guzar jaane wale
rahi ham-safar ek sada-e-musalsal
Thahar jaane wale Thahar jaane wale
mohabbat ka aaghaz hai choT kha le
milenge abhi zaKHm bhar jaane wale
'amit' aise dar se guzarna hai behtar
jahan dar-guzar hon Thahar jaane wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.