liye phirta hai KHun-alud kab tak pairahan aaKHir
liye phirtā hai ḳhūñ-ālūd kab tak pairahan āḳhir
milegā baad marne ke safeda ik kafan āḳhir
na aa.e mujh se kyūñkar ḳhushbū-e-mushk-e-hiran āḳhir
chhuā thā sandalī hāthoñ se us ne ye badan āḳhir
machā ik ran hai duniyā meñ nihatthā shaḳhs huuñ maiñ yaañ
jiyūñ kaise rahūñ kab tak yahāñ maiñ ḳhema-zan āḳhir
uḌā hai fāḳhta jab se ye DyoḌhī se mire ghar kī
palaT ke aa ga.ī vāpas mire ghar kī ghuTan āḳhir
phaphak kar ro rahe yuuñ ye tum kyoñ mar nahīñ jaate
nahīñ maiñ mar nahīñ saktā nahīñ huuñ kohkan āḳhir
kisī bhī aadmī ko pheñk do gar ḳhushk kuñ.eñ meñ
nikal saktā nahīñ hai vo sivā.e mojazan āḳhir
kahe jaatī hai ūdhau se ye ro ro kar ke har gopī
batā ab kab satā.eñge mujhe mere kishan āḳhir
mire siine meñ ik laḌkī kahīñ par dafn hai yaaro
bhulā.ūñ maiñ use kaise karūñ kitne jatan āḳhir
kisī ko chaah nahīñ saktā huuñ maiñ us ke sivā 'hāmid'
ye jaadū mantaroñ kā hai vo Thahrī barahna āḳhar
liye phirta hai KHun-alud kab tak pairahan aaKHir
milega baad marne ke safeda ek kafan aaKHir
na aae mujh se kyunkar KHushbu-e-mushk-e-hiran aaKHir
chhua tha sandali hathon se us ne ye badan aaKHir
macha ek ran hai duniya mein nihattha shaKHs hun main yan
jiyun kaise rahun kab tak yahan main KHema-zan aaKHir
uDa hai faKHta jab se ye DyoDhi se mere ghar ki
palaT ke aa gai wapas mere ghar ki ghuTan aaKHir
phaphak kar ro rahe yun ye tum kyon mar nahin jate
nahin main mar nahin sakta nahin hun kohkan aaKHir
kisi bhi aadmi ko phenk do gar KHushk kunen mein
nikal sakta nahin hai wo siwae mojazan aaKHir
kahe jati hai udhau se ye ro ro kar ke har gopi
bata ab kab sataenge mujhe mere kishan aaKHir
mere sine mein ek laDki kahin par dafn hai yaro
bhulaun main use kaise karun kitne jatan aaKHir
kisi ko chah nahin sakta hun main us ke siwa 'hamid'
ye jadu mantaron ka hai wo Thahri barahna aaKHar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.