lo aa gaya hun aaj main aise maqam par
lo aa gayā huuñ aaj maiñ aise maqām par
miltī hai daad ḳhuub jahāñ ġham ke naam par
kuchh aise zālimoñ ke vo ab dastaras meñ hai
karte nahīñ haiñ rahm jo apne ġhulām par
tū chāhtī thī zikr karūñ har ghaḌī tirā
le dekh lag gayā maiñ kisī aise kaam par
terī tarah ye shahr bhī merā na ho sakā
terā asar huā hai ye shahr-e-tamām par
maiñ ne havā se aaj tirā zikr kyā kiyā
rang-e-udāsī ḳhuub chaḌhā aaj shaam par
lo aa gaya hun aaj main aise maqam par
milti hai dad KHub jahan gham ke nam par
kuchh aise zalimon ke wo ab dastaras mein hai
karte nahin hain rahm jo apne ghulam par
tu chahti thi zikr karun har ghaDi tera
le dekh lag gaya main kisi aise kaam par
teri tarah ye shahr bhi mera na ho saka
tera asar hua hai ye shahr-e-tamam par
main ne hawa se aaj tera zikr kya kiya
rang-e-udasi KHub chaDha aaj sham par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.