lo dil-e-be-zaban TuT gaya
lo dil-e-be-zabān TuuT gayā
kāñch kā thā makān TuuT gayā
dil ye shāyad khilaune jaisā thā
khel ke darmiyān TuuT gayā
chhoḌ kar maañ ko kyā mile jannat
pahlā hī pā.edān TuuT gayā
aise maare ga.e javāñ faujī
jaise hindostān TuuT gayā
godiyāñ maañ kī ho ga.iiñ suunī
māmtā kā jahān TuuT gayā
dekh pulvāmā qalb-e-muztar par
yuuñ lagā āsmān TuuT gayā
chaar sū ḳhalfashār barpā hai
koh-e-amn-o-amān TuuT gayā
bhaa.ī kā bhaa.ī ho gayā dushman
kyā ye bhārat mahān TuuT gayā
vo jo qismat kā ik sitāra thā
kah ke shab kī azaan TuuT gayā
dekh 'haidar' siyāsatī sāzish
des kā naujavān TuuT gayā
lo dil-e-be-zaban TuT gaya
kanch ka tha makan TuT gaya
dil ye shayad khilaune jaisa tha
khel ke darmiyan TuT gaya
chhoD kar man ko kya mile jannat
pahla hi paedan TuT gaya
aise mare gae jawan fauji
jaise hindostan TuT gaya
godiyan man ki ho gain suni
mamta ka jahan TuT gaya
dekh pulwama qalb-e-muztar par
yun laga aasman TuT gaya
chaar su KHalfashaar barpa hai
koh-e-amn-o-aman TuT gaya
bhai ka bhai ho gaya dushman
kya ye bhaarat mahan TuT gaya
wo jo qismat ka ek sitara tha
kah ke shab ki azan TuT gaya
dekh 'haidar' siyasati sazish
des ka naujawan TuT gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.