lo Dub gaya farsh-e-‘aza dida-e-nam se
lo Duub gayā farsh-e-‘azā dīda-e-nam se
ab koī na girye kā taqāzā kare ham se
khaTkā hai ki sailāb-e-junūñ-ḳhez ke hāthoñ
gir jaa.e kahīñ jism kī dīvār na dham se
shah ko mire inkār se mā'lūm huā hai
har ik ko ḳharīdā nahīñ jā saktā raqam se
ham log bhī kyā saada haiñ taskīn kī ḳhātir
ummīd lagā lete haiñ patthar ke sanam se
afsos ki maqtal meñ tah-e-teġh-o-tabar hai
māñ-bāp ne paalā thā jise nāz-o-ni’am se
mat pūchh ki andar se haiñ kis darja shikasta
jo log bazāhir nazar aate haiñ baham se
ab aa ke mujhe ranj kī rāhat huī hāsil
pahle maiñ samajhtā thā ki mar jā.uñgā ġham se
mujh-dil ko faqat qarya-e-barbād na samjho
ik vaqt ye sarsabz 'ilāqa thā qasam se
lo Dub gaya farsh-e-‘aza dida-e-nam se
ab koi na girye ka taqaza kare hum se
khaTka hai ki sailab-e-junun-KHez ke hathon
gir jae kahin jism ki diwar na dham se
shah ko mere inkar se ma'lum hua hai
har ek ko KHarida nahin ja sakta raqam se
hum log bhi kya sada hain taskin ki KHatir
ummid laga lete hain patthar ke sanam se
afsos ki maqtal mein tah-e-tegh-o-tabar hai
man-bap ne pala tha jise naz-o-ni’am se
mat puchh ki andar se hain kis darja shikasta
jo log bazahir nazar aate hain baham se
ab aa ke mujhe ranj ki rahat hui hasil
pahle main samajhta tha ki mar jaunga gham se
mujh-dil ko faqat qarya-e-barbaad na samjho
ek waqt ye sarsabz 'ilaqa tha qasam se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.