lo shurua nafrat hui
lo shurūa nafrat huī
ḳhairiyat ruḳhsat huī
band darvāze hue
barhana vahshat huī
ek lamhe kī ḳhatā
sadiyoñ kī shāmat huī
zehn kī dīvār par
muflisī kī chhat huī
itr ke bāzār meñ
phūloñ kī shohrat huī
tum nasīboñ se mile
zindagī jannat huī
chalnā traffic jaam meñ
ab 'kañval' aadat huī
lo shurua nafrat hui
KHairiyat ruKHsat hui
band darwaze hue
barhana wahshat hui
ek lamhe ki KHata
sadiyon ki shamat hui
zehn ki diwar par
muflisi ki chhat hui
itr ke bazar mein
phulon ki shohrat hui
tum nasibon se mile
zindagi jannat hui
chalna traffic jam mein
ab 'kanwal' aadat hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.