lo zoaf se ab ye haal-e-tan hai
lo zo.af se ab ye hāl-e-tan hai
saaya mutajassis-e-badan hai
yahāñ tan hī nahīñ hai lāġharī se
ham ko kyā hājat-e-kafan hai
misl-e-nik.hat haiñ jaama kaisā
apnā to badan hī pairahan hai
huuñ bulbul-e-bostān-e-tasvīr
be-ḳhauf-e-ḳhizāñ mirā chaman hai
huuñ kushta-e-teġh-e-sharm-e-jānāñ
har zaḳhm kā be-zabāñ dhan hai
lā-raib 'nasīm'-dehlavī to
ustād-e-nazākat-e-suḳhan hai
lo zoaf se ab ye haal-e-tan hai
saya mutajassis-e-badan hai
yahan tan hi nahin hai laghari se
hum ko kya hajat-e-kafan hai
misl-e-nikhat hain jama kaisa
apna to badan hi pairahan hai
hun bulbul-e-bostan-e-taswir
be-KHauf-e-KHizan mera chaman hai
hun kushta-e-tegh-e-sharm-e-jaanan
har zaKHm ka be-zaban dhan hai
la-raib 'nasim'-dehlawi to
ustad-e-nazakat-e-suKHan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.