log aae hi nahin mujhko mayassar aise
log aa.e hī nahīñ mujh ko mayassar aise
jo mujhe kahte ki aise nahīñ 'azbar' aise
jaisā maiñ huuñ mire chehre kī hañsī jaisī hai
ġhaur se dekh ki hote nahīñ joker aise
tez dauḌā ke achānak mirī rassī khīñchī
us ne samjhāyā mujhe lagtī hai Thokar aise
aañkh khulne pe jo uThtā huuñ to chakrātā huuñ
kaun detā hai mujhe ḳhvāb meñ chakkar aise
zulf aisī ke siyāh reshmī jañgal koī
nain us shaḳhs ke haiñ surma.ī marmar aise
koī to hotā jo siine se lagā kar kahtā
baat thī baat ko lete nahīñ dil par aise
kis ne sochā thā ki kamroñ meñ faqat chup hogī
kis ne sochā thā ki guzregā september aise
haa.e āḳhir meñ vahī hādisa pesh aayā 'safīr'
hameñ kahnā paḌā likkhe the muqaddar aise
log aae hi nahin mujh ko mayassar aise
jo mujhe kahte ki aise nahin 'azbar' aise
jaisa main hun mere chehre ki hansi jaisi hai
ghaur se dekh ki hote nahin joker aise
tez dauDa ke achanak meri rassi khinchi
us ne samjhaya mujhe lagti hai Thokar aise
aankh khulne pe jo uThta hun to chakraata hun
kaun deta hai mujhe KHwab mein chakkar aise
zulf aisi ke siyah reshmi jangal koi
nain us shaKHs ke hain surmai marmar aise
koi to hota jo sine se laga kar kahta
baat thi baat ko lete nahin dil par aise
kis ne socha tha ki kamron mein faqat chup hogi
kis ne socha tha ki guzrega september aise
hae aaKHir mein wahi hadisa pesh aaya 'safir'
hamein kahna paDa likkhe the muqaddar aise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.