log aise bhi gham-shanas nahin
log aise bhī ġham-shanās nahīñ
dost ho kar bhī dil ke paas nahīñ
fikr itnī bhī mat karo us kī
sar-phirā hai vo mahv-e-yās nahīñ
'ishq meñ maat khā ke hañstī huuñ
rā.egāñ huuñ magar udaas nahīñ
dil talabgār bhī usī kā hai
ek vo shai jo ās-pās nahīñ
ziist sahrā meñ raah miltī hai
zindagī dasht-e-be-qayās nahīñ
log aise bhi gham-shanas nahin
dost ho kar bhi dil ke pas nahin
fikr itni bhi mat karo us ki
sar-phira hai wo mahw-e-yas nahin
'ishq mein mat kha ke hansti hun
raegan hun magar udas nahin
dil talabgar bhi usi ka hai
ek wo shai jo aas-pas nahin
zist sahra mein rah milti hai
zindagi dasht-e-be-qayas nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.