log baiThe rahe raushni ke liye
log baiThe rahe raushnī ke liye
koī niklā nahīñ tīrgī ke liye
'umr-bhar ham nibhāte rahe dushmanī
vaqt kam paḌ gayā dostī ke liye
dil kī har baat sunte haiñ ham dhyān se
'ishq karte nahīñ 'āshiqī ke liye
yaad karte haiñ īshvar ko chāroñ pahar
Dhoñg karte nahīñ bandagī ke liye
jo bhī kahnā hai kahte haiñ ham be-dhaḌak
ranj rakhte nahīñ ham kisī ke liye
maut se ho na paayā kabhī sāmnā
mar rahe haiñ magar zindagī ke liye
saañs le do ghaḌī baiTh kar baaġh meñ
ye munāsib nahīñ aadmī ke liye
dvaar par koī hamdard aayā nahīñ
ġham uThāte rahe ham ḳhushī ke liye
log baiThe rahe raushni ke liye
koi nikla nahin tirgi ke liye
'umr-bhar hum nibhate rahe dushmani
waqt kam paD gaya dosti ke liye
dil ki har baat sunte hain hum dhyan se
'ishq karte nahin 'ashiqi ke liye
yaad karte hain ishwar ko chaaron pahar
Dhong karte nahin bandagi ke liye
jo bhi kahna hai kahte hain hum be-dhaDak
ranj rakhte nahin hum kisi ke liye
maut se ho na paya kabhi samna
mar rahe hain magar zindagi ke liye
sans le do ghaDi baiTh kar bagh mein
ye munasib nahin aadmi ke liye
dwar par koi hamdard aaya nahin
gham uThate rahe hum KHushi ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.