log bhi dastan bana baiThe
log bhī dāstāñ banā baiThe
tum mire paas ik zarā baiThe
apnā sheva na arz-e-hāl rahā
tum ne chheḌā to sab sunā baiThe
kah diyā tum ne jab ḳhudā-hāfiz
kis tarah baiThe koī kyā baiThe
aur bhī ham se ho ga.e nālāñ
zaḳhm-e-dil un ko sab dikhā baiThe
bach gayā zindagī se jo kuchh bhī
un kī āñkhoñ pe sab luTā baiThe
mujh ko mahfil meñ dekh kar yaaro
puurī mahfil se vo judā baiThe
log bhi dastan bana baiThe
tum mere pas ek zara baiThe
apna shewa na arz-e-haal raha
tum ne chheDa to sab suna baiThe
kah diya tum ne jab KHuda-hafiz
kis tarah baiThe koi kya baiThe
aur bhi hum se ho gae nalan
zaKHm-e-dil un ko sab dikha baiThe
bach gaya zindagi se jo kuchh bhi
un ki aankhon pe sab luTa baiThe
mujh ko mahfil mein dekh kar yaro
puri mahfil se wo juda baiThe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.