log bhi kya hain kisi ka dil dukha kar KHush hue
log bhi kya hain kisi ka dil dukha kar KHush hue
Virendra Khare Akela
MORE BYVirendra Khare Akela
log bhī kyā haiñ kisī kā dil dukhā kar ḳhush hue
phuul par baiThī huī titlī uḌā kar ḳhush hue
pyaas ham apnī bujhā leñ ye ijāzat hai kahāñ
phir bhī ai dariyā tire nazdīk aakar ḳhush hue
marz ko paale hue rakhnā samajhdārī nahīñ
log phir bhī ḳhāmiyāñ apnī chhupā kar ḳhush hue
shakl-o-sūrat dekhne laa.iq thī tab sayyād kī
qaid panchhī jab paroñ ko phaḌphaḌā kar ḳhush hue
āḳhirash karte bhī kyā jab class meñ teacher na thā
saare bachcha bachchiyāñ ūdham machā kar ḳhush hue
bojh dil kā ek hī jhaTke meñ halqa ho gayā
ham tumhārī yaad meñ ḳhud ko rulā kar ḳhush hue
ai 'akelā' aur kyā honā thā bas itnā huā
sar-phire jhoñke charāġhoñ ko bujhā kar ḳhush hue
log bhi kya hain kisi ka dil dukha kar KHush hue
phul par baiThi hui titli uDa kar KHush hue
pyas hum apni bujha len ye ijazat hai kahan
phir bhi ai dariya tere nazdik aakar KHush hue
marz ko pale hue rakhna samajhdari nahin
log phir bhi KHamiyan apni chhupa kar KHush hue
shakl-o-surat dekhne laiq thi tab sayyaad ki
qaid panchhi jab paron ko phaDphaDa kar KHush hue
aaKHirash karte bhi kya jab class mein teacher na tha
sare bachcha bachchiyan udham macha kar KHush hue
bojh dil ka ek hi jhaTke mein halqa ho gaya
hum tumhaari yaad mein KHud ko rula kar KHush hue
ai 'akela' aur kya hona tha bas itna hua
sar-phire jhonke charaghon ko bujha kar KHush hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.