log dariyaon ki jhilon ki taraf dekhte hain
log dariyāoñ kī jhīloñ kī taraf dekhte haiñ
ham magar aap kī āñkhoñ kī taraf dekhte haiñ
apne hisse meñ salīqe kā koī ġham hī nahīñ
is liye ishq kī rāhoñ kī taraf dekhte haiñ
aañkh se ashk nikalte haiñ mu'āfī ban kar
jab bhī ham apne gunāhoñ kī taraf dekhte haiñ
she'r likkhā nahīñ jaatā hai 'atā hotā hai
be-sabab log ḳhayāloñ kī taraf dekhte haiñ
niiñd aatī hai to so jaate haiñ yak-dam se 'obaid'
aañkh khultī hai to ḳhvāboñ kī taraf dekhte haiñ
log dariyaon ki jhilon ki taraf dekhte hain
hum magar aap ki aankhon ki taraf dekhte hain
apne hisse mein saliqe ka koi gham hi nahin
is liye ishq ki rahon ki taraf dekhte hain
aankh se ashk nikalte hain mu'afi ban kar
jab bhi hum apne gunahon ki taraf dekhte hain
she'r likkha nahin jata hai 'ata hota hai
be-sabab log KHayalon ki taraf dekhte hain
nind aati hai to so jate hain yak-dam se 'obaid'
aankh khulti hai to KHwabon ki taraf dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.