log duniya mein hain sab aag lagane wale
log duniyā meñ haiñ sab aag lagāne vaale
ek ham hī haiñ faqat aag bujhāne vaale
ham to har baat meñ haiñ sab ko hañsāne vaale
raat bhar jaag ke duniyā ko sulāne vaale
aadmī ham ko rulāne ko tule haiñ lekin
ḳhud hī ro dete haiñ vo ham ko rulāne vaale
vo chale aaj to kal ham bhī chale jā.eñge
vo ga.e din ko to ham raat ko jaane vaale
thī vo kuchh dāstāñ aisī ki sunā.ī ro kar
varna ham to nahīñ kuchh ro ke sunāne vaale
ġhota-zan pā hī ga.e gauhar-e-maqsad 'sāqī'
ḳhaak malte hī rahe ḳhaak uḌāne vaale
log duniya mein hain sab aag lagane wale
ek hum hi hain faqat aag bujhane wale
hum to har baat mein hain sab ko hansane wale
raat bhar jag ke duniya ko sulane wale
aadmi hum ko rulane ko tule hain lekin
KHud hi ro dete hain wo hum ko rulane wale
wo chale aaj to kal hum bhi chale jaenge
wo gae din ko to hum raat ko jaane wale
thi wo kuchh dastan aisi ki sunai ro kar
warna hum to nahin kuchh ro ke sunane wale
ghota-zan pa hi gae gauhar-e-maqsad 'saqi'
KHak malte hi rahe KHak uDane wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.