log gham se Darte hain main KHushi se Darta hun
log ġham se Darte haiñ maiñ ḳhushī se Dartā huuñ
tīrgī se kyā Darnā raushnī se Dartā huuñ
maiñ nikal paḌā ghar se ab safar meñ jo biite
aage chalte rahnā hai vāpsī se Dartā huuñ
ye bhī jānvar saare vo bhī jānvar saare
jaane kaisī bastī hai aadmī se Dartā huuñ
rahzan-e-ḳhulūs-e-jāñ rahzan-e-masarrat hai
rahnumā.ī-e-ilm-o-āgahī se Dartā huuñ
sar uThā ke jiine kī lazzatoñ se vāqif huuñ
sar uThā ke jiine kī be-hisī se Dartā huuñ
log gham se Darte hain main KHushi se Darta hun
tirgi se kya Darna raushni se Darta hun
main nikal paDa ghar se ab safar mein jo bite
aage chalte rahna hai wapsi se Darta hun
ye bhi jaanwar sare wo bhi jaanwar sare
jaane kaisi basti hai aadmi se Darta hun
rahzan-e-KHulus-e-jaan rahzan-e-masarrat hai
rahnumai-e-ilm-o-agahi se Darta hun
sar uTha ke jine ki lazzaton se waqif hun
sar uTha ke jine ki be-hisi se Darta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.