Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

log jam-o-subu mein khoe rahe

Abdul Qavi Ziya

log jam-o-subu mein khoe rahe

Abdul Qavi Ziya

MORE BYAbdul Qavi Ziya

    log jām-o-subū meñ kho.e rahe

    ham tirī aarzū meñ kho.e rahe

    zindagī thī justujū ham ko

    umr bhar justujū meñ kho.e rahe

    mahfil-e-rañg-o-bū to mil na sakī

    ḳhvāhish-e-rañg-o-bū meñ kho.e rahe

    ashk jo bach rahe the āñkhoñ meñ

    hurmat-e-ābrū meñ kho.e rahe

    har taraf thā hisār kāñToñ

    phuul fikr-e-numū meñ kho.e rahe

    kyā tasavvur thā chashm-e-sāqī

    raat bhar ham subū meñ kho.e rahe

    shauq-e-āvārgī na pūchh 'ziyā'

    lazzat-e-kū-ba-kū meñ kho.e rahe

    log jam-o-subu mein khoe rahe

    hum teri aarzu mein khoe rahe

    zindagi ki thi justuju hum ko

    umr bhar justuju mein khoe rahe

    mahfil-e-rang-o-bu to mil na saki

    KHwahish-e-rang-o-bu mein khoe rahe

    ashk jo bach rahe the aankhon mein

    hurmat-e-abru mein khoe rahe

    har taraf tha hisar kanTon ka

    phul fikr-e-numu mein khoe rahe

    kya tasawwur tha chashm-e-saqi ka

    raat bhar hum subu mein khoe rahe

    shauq-e-awargi na puchh 'ziya'

    lazzat-e-ku-ba-ku mein khoe rahe

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now