log jab apni haqiqat jaanne lag jaenge
log jab apnī haqīqat jānñe lag jā.eñge
zindagī se zindagī ko māñgne lag jā.eñge
duur kariye āstīnoñ se unheñ varna zarūr
ek din ye saañp sar pe nāchne lag jā.eñge
ret ho yā raakh ho barbād mat kariye ise
kyā pata kab log un ko phāñkne lag jā.eñge
is zamāne kā chalan badlegā us din dekhnā
aag jab ham muTThiyoñ meñ bāñdhne lag jā.eñge
piiTh ke kūbaḌ kahāñ le jā.eñge vo dosto
ā.inoñ ke sāmne jab aa.ine lag jā.eñge
kyā kareñ zikr-e-vafā 'pīyūsh' ab is daur meñ
hai ye mumkin log baġhleñ jhāñkne lag jā.eñge
log jab apni haqiqat jaanne lag jaenge
zindagi se zindagi ko mangne lag jaenge
dur kariye aastinon se unhen warna zarur
ek din ye sanp sar pe nachne lag jaenge
ret ho ya rakh ho barbaad mat kariye ise
kya pata kab log un ko phankne lag jaenge
is zamane ka chalan badlega us din dekhna
aag jab hum muTThiyon mein bandhne lag jaenge
piTh ke kubaD kahan le jaenge wo dosto
aainon ke samne jab aaine lag jaenge
kya karen zikr-e-wafa 'piyush' ab is daur mein
hai ye mumkin log baghlen jhankne lag jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.