log jab jashn bahaaron ka manane nikle
log jab jashn bahāroñ kā manāne nikle
ham bayābānoñ meñ tab ḳhaak uḌāne nikle
khul gayā daftar-e-sad-rañg mulāqātoñ kā
husn ke zikr pe kyā kyā na fasāne nikle
ishq kā rog ki donoñ se chhupāyā na gayā
ham the saudā.ī to kuchh vo bhī divāne nikle
jab khile phuul chaman meñ to tirī yaad aa.ī
chand aañsū bhī masarrat ke bahāne nikle
shahr vaale sabhī be-chehra hue haiñ 'pāshī'
ham ye kin logoñ ko ā.īna dikhāne nikle
log jab jashn bahaaron ka manane nikle
hum bayabanon mein tab KHak uDane nikle
khul gaya daftar-e-sad-rang mulaqaton ka
husn ke zikr pe kya kya na fasane nikle
ishq ka rog ki donon se chhupaya na gaya
hum the saudai to kuchh wo bhi diwane nikle
jab khile phul chaman mein to teri yaad aai
chand aansu bhi masarrat ke bahane nikle
shahr wale sabhi be-chehra hue hain 'pashi'
hum ye kin logon ko aaina dikhane nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.