log jo sahab-e-kirdar hua karte the
log jo sāhab-e-kirdār huā karte the
bas vahī qābil-e-dastār huā karte the
ye alag baat vo thā daur-e-jahālat lekin
log an-paḌh bhī samajhdār huā karte the
sāmne aa ke nibhāte the adāvat apnī
piiTh pīchhe se kahāñ vaar huā karte the
jin qabīloñ meñ yahāñ aaj diye haiñ raushan
un qabīloñ ke to sardār huā karte the
tab adālat se ri.āyat nahīñ mil paatī thiiñ
tab gunahgār gunahgār huā karte the
kyā zamāna thā mahaktī thiiñ vo kyārī ghar kī
ghar ke āñgan gul-o-gulzār huā karte the
qaid maz.hab kī na thī kal ke paḌosī donoñ
ek duuje ke madad-gār huā karte the
ghar ke sab log nibhāte the ḳhushī se jin ko
ghar ke har fard ke kirdār huā karte the
log jo sahab-e-kirdar hua karte the
bas wahi qabil-e-dastar hua karte the
ye alag baat wo tha daur-e-jahaalat lekin
log an-paDh bhi samajhdar hua karte the
samne aa ke nibhate the adawat apni
piTh pichhe se kahan war hua karte the
jin qabilon mein yahan aaj diye hain raushan
un qabilon ke to sardar hua karte the
tab adalat se riayat nahin mil pati thin
tab gunahgar gunahgar hua karte the
kya zamana tha mahakti thin wo kyari ghar ki
ghar ke aangan gul-o-gulzar hua karte the
qaid mazhab ki na thi kal ke paDosi donon
ek duje ke madad-gar hua karte the
ghar ke sab log nibhate the KHushi se jin ko
ghar ke har fard ke kirdar hua karte the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.