log kahte hain bahut zinda-o-painda hun
log kahte haiñ bahut zinda-o-pā.inda huuñ
kis ko mālūm hai ye sach ki tirā kushta huuñ
zindagī naam tanaffus kā nahīñ hai jānāñ
shikva be-jā hai ki bin tere bhī maiñ zinda huuñ
maar hī detī mujhe terī ye furqat lekin
kab tirī yaad ne chhoḌā hai ki maiñ tanhā huuñ
hai bajā terī judā.ī meñ to mar jaanā thā
maiñ magar hijr meñ bhī vasl se vābasta huuñ
marne jiine kā sabab ḳhuub hai ma.alūm mujhe
sard-mehrī hai kisī kī jo maiñ ik lāsha huuñ
be-ruḳhī kā hai vo ik sañg faqat sañg hai vo
aur maiñ us ke liye shīsha faqat shīsha huuñ
vo ki hai mere liye ātish-e-dil ai 'ḳhālid'
maiñ magar us ke liye sirf dhueñ jaisā huuñ
log kahte hain bahut zinda-o-painda hun
kis ko malum hai ye sach ki tera kushta hun
zindagi nam tanaffus ka nahin hai jaanan
shikwa be-ja hai ki bin tere bhi main zinda hun
mar hi deti mujhe teri ye furqat lekin
kab teri yaad ne chhoDa hai ki main tanha hun
hai baja teri judai mein to mar jaana tha
main magar hijr mein bhi wasl se wabasta hun
marne jine ka sabab KHub hai malum mujhe
sard-mehri hai kisi ki jo main ek lasha hun
be-ruKHi ka hai wo ek sang faqat sang hai wo
aur main us ke liye shisha faqat shisha hun
wo ki hai mere liye aatish-e-dil ai 'KHalid'
main magar us ke liye sirf dhuen jaisa hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.