log kahte hain ek sada hun main
log kahte haiñ ik sadā huuñ maiñ
ḳhair ḳhud hī meñ gūñjtā huuñ maiñ
aañkh jaise ka.ī darīcha hai
aur andar se jhāñktā huuñ maiñ
tū ne chāhā thā gher le mujh ko
dekh bāhoñ meñ aa gayā huuñ maiñ
apne saa.e se pūchh letā huuñ
kyā tire saath chal rahā huuñ maiñ
terī bātoñ meñ ho gayā huuñ gum
apnī āvāz kho chukā huuñ maiñ
is kināre se us kināre tak
apnī manzil ko tāktā huuñ maiñ
us se ab kyā shikāyateñ hoñ asar
jis se fariyād kar rahā huuñ maiñ
log kahte hain ek sada hun main
KHair KHud hi mein gunjta hun main
aankh jaise kai daricha hai
aur andar se jhankta hun main
tu ne chaha tha gher le mujh ko
dekh bahon mein aa gaya hun main
apne sae se puchh leta hun
kya tere sath chal raha hun main
teri baaton mein ho gaya hun gum
apni aawaz kho chuka hun main
is kinare se us kinare tak
apni manzil ko takta hun main
us se ab kya shikayaten hon asar
jis se fariyaad kar raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.