log kahte hain kanTon-bhara rasta
log kahte haiñ kāñToñ-bharā rāsta
itnā mushkil nahīñ 'ishq kā rāsta
us kā dil ro diyā maiñ ne jab ye kahā
tum na dekho mirā dil-rubā rāsta
phir vo saath aa gayā kar ke 'ahd-e-vafā
bach gayā vo bhaTakne ko thā rāsta
saath mere vo nāz-e-bahārāñ chalā
us ke qadmoñ se gulshan banā rāsta
maiñ talabgār thā manzil-e-husn kā
us tabassum ne dikhlā diyā rāsta
haa.e ye qāfila kis taraf chal diyā
raat aur pech-o-ḳham se bharā rāsta
maiñ samajhtā rahā is ko hadd-e-yaqīn
rahbar ḳhud ko kahtā rahā rāsta
ham-safar meñ shu’ūr-e-safar hī na thā
is liye us ko bhaTkā gayā rāsta
maiñ chalā hosh ke rāste par magar
mai-kade kī taraf muḌ gayā rāsta
kuchh na thā bas ye āvāz thī aur maiñ
koī kahtā thā ab bhuul jā rāsta
log kahte hain kanTon-bhara rasta
itna mushkil nahin 'ishq ka rasta
us ka dil ro diya main ne jab ye kaha
tum na dekho mera dil-ruba rasta
phir wo sath aa gaya kar ke 'ahd-e-wafa
bach gaya wo bhaTakne ko tha rasta
sath mere wo naz-e-bahaaran chala
us ke qadmon se gulshan bana rasta
main talabgar tha manzil-e-husn ka
us tabassum ne dikhla diya rasta
hae ye qafila kis taraf chal diya
raat aur pech-o-KHam se bhara rasta
main samajhta raha is ko hadd-e-yaqin
rahbar KHud ko kahta raha rasta
ham-safar mein shu’ur-e-safar hi na tha
is liye us ko bhaTka gaya rasta
main chala hosh ke raste par magar
mai-kade ki taraf muD gaya rasta
kuchh na tha bas ye aawaz thi aur main
koi kahta tha ab bhul ja rasta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.