log kahte hain ki suraj mein andhera kyun hai
log kahte haiñ ki sūraj meñ añdherā kyuuñ hai
dhuup niklī hai ġhalat baat kā charchā kyuuñ hai
zindagī se nahīñ jab tum ko koī dilchaspī
chand lamhoñ kī masarrat kā taqāzā kyuuñ hai
paḌhne vāloñ ke diloñ par ho sadāqat kā asar
aisī tahrīr vo likhtā hai to likhtā kyuuñ hai
apne markaz pe jise lauT kar aanā hī paḌā
dekh kar aa.ina ab chehra chhuptā kyuuñ hai
Dar rahā huuñ ki musībat na kahīñ aa jaa.e
zehn meñ tezī se ehsās ye ubhrā kyuuñ hai
mujh se nafrat hai to iz.hār kabhī bhī na kiyā
vo farishta hai to kuchh kahne se Dartā kyuuñ hai
yaad hogī tumheñ pahle kī har ik baat 'hasīr'
phir mohabbat se use tum ne navāzā kyuuñ hai
log kahte hain ki suraj mein andhera kyun hai
dhup nikli hai ghalat baat ka charcha kyun hai
zindagi se nahin jab tum ko koi dilchaspi
chand lamhon ki masarrat ka taqaza kyun hai
paDhne walon ke dilon par ho sadaqat ka asar
aisi tahrir wo likhta hai to likhta kyun hai
apne markaz pe jise lauT kar aana hi paDa
dekh kar aaina ab chehra chhupta kyun hai
Dar raha hun ki musibat na kahin aa jae
zehn mein tezi se ehsas ye ubhra kyun hai
mujh se nafrat hai to izhaar kabhi bhi na kiya
wo farishta hai to kuchh kahne se Darta kyun hai
yaad hogi tumhein pahle ki har ek baat 'hasir'
phir mohabbat se use tum ne nawaza kyun hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.