log KHwahan the so dil ho gaya kangal mera
log ḳhvāhāñ the so dil ho gayā kañgāl mirā
tum bhī ḳhush dekh ke ho jaao burā haal mirā
ishq kī rū se to maiñ qais kā ham-zulf huā
jab vahī dasht-e-junūñ Thahrā hai susrāl mirā
muñh banā.e hue kyoñ pīchhe paḌī hai duniyā
pahle hī dil ġham-e-furqat se hai pāmāl mirā
hai ravāñ merī tabī.at meñ mohabbat aise
jazb hotā hai kisī zarf meñ sayyāl mirā
rul gayā chāh-e-zanaḳhdāñ ke tilismāt meñ dil
ġham-e-daurāñ se to biikā na huā baal mirā
apnī tadbīr kī ḳhāmī pe maiñ sar dhuntā huuñ
hāl-e-bad par koī mauqaf nahīñ filhāl mirā
har qadam ek na.ī jang ke mutarādif hai
pichhle har saal se sangīn hai ye saal mirā
'sarfarāz' apne zamāne ko moharram na kahūñ
koī ramzān mubārak hai na shavvāl mirā
log KHwahan the so dil ho gaya kangal mera
tum bhi KHush dekh ke ho jao bura haal mera
ishq ki ru se to main qais ka ham-zulf hua
jab wahi dasht-e-junun Thahra hai susral mera
munh banae hue kyon pichhe paDi hai duniya
pahle hi dil gham-e-furqat se hai pamal mera
hai rawan meri tabiat mein mohabbat aise
jazb hota hai kisi zarf mein sayyal mera
rul gaya chah-e-zanaKHdan ke tilismat mein dil
gham-e-dauran se to bika na hua baal mera
apni tadbir ki KHami pe main sar dhunta hun
haal-e-bad par koi mauqaf nahin filhaal mera
har qadam ek nai jang ke mutaradif hai
pichhle har sal se sangin hai ye sal mera
'sarfaraaz' apne zamane ko moharram na kahun
koi ramzan mubarak hai na shawwal mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.