log ki jinko tha bahut zom-e-wajud shahr mein
log ki jin ko thā bahut zom-e-vajūd shahr meñ
phail ke rah ga.e faqat sūrat-e-dūd shahr meñ
ham se jahāñ anek the bad the vahī ki nek the
sach hī to hai ki ek the būd-o-nabūd shahr meñ
tañgī-e-rizq kā gilā jin ko yahāñ sadā rahā!
toḌ ke dekhte zarā apnī hudūd shahr meñ
itne baras ke ba.ad bhī log haiñ ham se ajnabī
jaane huā thā kis ghaḌī apnā varūd shahr meñ
rāh-e-amal pe gher ke ḳhud ko hī laao pher ke
vo to gayā bikher ke rañg-e-jumūd shahr meñ
mujh ko chalo na māntā naam to koī jāntā
maiñ bhī jo yaar chhāntā ḳhāk-e-numūd shahr meñ
mujh se vo kyā bichhaḌ gayā aur bhī maiñ ujaḌ gayā
chhoḌ ke mujh ko baḌh gayā merā vajūd shahr meñ
mujh se zamīn-e-zer-e-pā us ne jo chhīn lī to kyā
ḳham to nahīñ huā mirā ḳhatt-e-umūd shahr meñ
log ki jin ko tha bahut zom-e-wajud shahr mein
phail ke rah gae faqat surat-e-dud shahr mein
hum se jahan anek the bad the wahi ki nek the
sach hi to hai ki ek the bud-o-nabud shahr mein
tangi-e-rizq ka gila jin ko yahan sada raha!
toD ke dekhte zara apni hudud shahr mein
itne baras ke baad bhi log hain hum se ajnabi
jaane hua tha kis ghaDi apna warud shahr mein
rah-e-amal pe gher ke KHud ko hi lao pher ke
wo to gaya bikher ke rang-e-jumud shahr mein
mujh ko chalo na manta nam to koi jaanta
main bhi jo yar chhanta KHak-e-numud shahr mein
mujh se wo kya bichhaD gaya aur bhi main ujaD gaya
chhoD ke mujh ko baDh gaya mera wajud shahr mein
mujh se zamin-e-zer-e-pa us ne jo chhin li to kya
KHam to nahin hua mera KHatt-e-umud shahr mein
- Book : Monthly Usloob (Pg. 388)
- Author : Mushfiq Khawaja
- Publication : Usloob 3D 9—26 Nazimabad karachi 180007 (Oct. õ Nov. 1983,Issue No. 5-6)
- Edition : Oct. õ Nov. 1983,Issue No. 5-6
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.