log kuchh rah-e-mohabbat mein Thahar jaenge
log kuchh rāh-e-mohabbat meñ Thahar jā.eñge
ham kahāñ vo haiñ jo ḳhatrāt se Dar jā.eñge
jānte hī nahīñ ye zaḳhm diye haiñ kis ne
log dete haiñ tasallī ki ye bhar jā.eñge
us ne ye kah ke bañdhā.ī hai mirī himmat-e-dil
aa.e haiñ ġham ke zamāne ye guzar jā.eñge
der se ā.eñge vo dil mirā kahtā hai yahī
ulTe muñh par ka.ī ilzām vo dhar jā.eñge
us ke aane ke to imkāñ nazar aate hī nahīñ
isī ummīd meñ sab shaam sahar jā.eñge
thoḌī sī dār-e-mohabbat kī zarūrat hai 'suhail'
jo jarāsīm haiñ nafrat ke vo mar jā.eñge
log kuchh rah-e-mohabbat mein Thahar jaenge
hum kahan wo hain jo KHatraat se Dar jaenge
jaante hi nahin ye zaKHm diye hain kis ne
log dete hain tasalli ki ye bhar jaenge
us ne ye kah ke bandhai hai meri himmat-e-dil
aae hain gham ke zamane ye guzar jaenge
der se aaenge wo dil mera kahta hai yahi
ulTe munh par kai ilzam wo dhar jaenge
us ke aane ke to imkan nazar aate hi nahin
isi ummid mein sab sham sahar jaenge
thoDi si dar-e-mohabbat ki zarurat hai 'suhail'
jo jarasim hain nafrat ke wo mar jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.