log kya kya guftugu ke darmiyan khulne lage
log kyā kyā guftugū ke darmiyāñ khulne lage
zikr-e-yārāñ chal paḌā to rāz-dāñ khulne lage
phir paḌāo Dal ga.e yādoñ ke shām-e-hijr meñ
aur fasīl-e-shahr-e-jāñ par kārvāñ khulne lage
tang shahroñ meñ khule sāgar kī bāteñ kyā chalīñ
bād-e-hijrat chal paḌī aur bādbāñ khulne lage
jab se dil kā aa.ina shaffāf rakhnā aa gayā
merī āñkhoñ par ka.ī 'aks-e-nihāñ khulne lage
dil kī shiryānoñ meñ taaza ġham ik aise jam gayā
sab purāne zaḳhm-hā-e-be-nishāñ khulne lage
tere ġham kā muhr-basta goshvāra kyā khulā
'umr bhar ke daftar-e-sūd-o-ziyāñ khulne lage
muddatoñ se ham-nashīñ the ham-nishāt-o-ham-tarab
mubtalā-e-ġham huā to mehrbāñ khulne lage
log kya kya guftugu ke darmiyan khulne lage
zikr-e-yaran chal paDa to raaz-dan khulne lage
phir paDao Dal gae yaadon ke sham-e-hijr mein
aur fasil-e-shahr-e-jaan par karwan khulne lage
tang shahron mein khule sagar ki baaten kya chalin
baad-e-hijrat chal paDi aur baadban khulne lage
jab se dil ka aaina shaffaf rakhna aa gaya
meri aankhon par kai 'aks-e-nihan khulne lage
dil ki shiryanon mein taza gham ek aise jam gaya
sab purane zaKHm-ha-e-be-nishan khulne lage
tere gham ka muhr-basta goshwara kya khula
'umr bhar ke daftar-e-sud-o-ziyan khulne lage
muddaton se ham-nashin the ham-nishat-o-ham-tarab
mubtala-e-gham hua to mehrban khulne lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.