Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

log nafrat ki jab is aag se jal jaenge

Shahnawaz Noor

log nafrat ki jab is aag se jal jaenge

Shahnawaz Noor

MORE BYShahnawaz Noor

    log nafrat jab is aag se jal jā.eñge

    mujh ko ummīd hai hālāt badal jā.eñge

    jo the maujūd mirī jeb meñ khoTe sikke

    maiñ samajhtā thā ki bāzār meñ chal jā.eñge

    chhoḌ sakte haiñ mujhe race meñ pīchhe lekin

    log kyā vaqt se aage bhī nikal jā.eñge

    apne ashkoñ se bhigo deñge phir us buniyād

    dekhne ham jo kabhī tāj-mahal jā.eñge

    ai mirī maut mujhe sote samay mat aanā

    tere pairoñ se mire ḳhvāb kuchal jā.eñge

    mere beTe khilaune ke liye zid mat kar

    aaj rahne de bahut dhuup hai kal jā.eñge

    mujh se ab aap tārīf na ho pā.egī

    aap kam-zarf haiñ shohrat se uchhal jā.eñge

    gungunā.eñgī jise paḌh ke ka.ī nasleñ tirī

    ham tirī mez pe rakh kar vo ġhazal jā.eñge

    log nafrat ki jab is aag se jal jaenge

    mujh ko ummid hai haalat badal jaenge

    jo the maujud meri jeb mein khoTe sikke

    main samajhta tha ki bazar mein chal jaenge

    chhoD sakte hain mujhe race mein pichhe lekin

    log kya waqt se aage bhi nikal jaenge

    apne ashkon se bhigo denge phir us ki buniyaad

    dekhne hum jo kabhi taj-mahal jaenge

    ai meri maut mujhe sote samay mat aana

    tere pairon se mere KHwab kuchal jaenge

    mere beTe tu khilaune ke liye zid mat kar

    aaj rahne de bahut dhup hai kal jaenge

    mujh se ab aap ki tarif na ho paegi

    aap kam-zarf hain shohrat se uchhal jaenge

    gungunaengi jise paDh ke kai naslen teri

    hum teri mez pe rakh kar wo ghazal jaenge

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now