log parae ho jate hain
log parā.e ho jaate haiñ
nahīñ palaTte jo jaate haiñ
kaam nahīñ to sochā maiñ ne
galī se us kī ho aate haiñ
us kā chehra dekhne vaale
bas āñkhoñ meñ kho jaate haiñ
dāman par girte hue aañsū
daaġh gunāh ke dho jaate haiñ
khaultā paanī takte bachche
rote rote so jaate haiñ
vahī nahīñ to mahfil kaisī
tum baiTho ham to jaate haiñ
log parae ho jate hain
nahin palaTte jo jate hain
kaam nahin to socha main ne
gali se us ki ho aate hain
us ka chehra dekhne wale
bas aankhon mein kho jate hain
daman par girte hue aansu
dagh gunah ke dho jate hain
khaulta pani takte bachche
rote rote so jate hain
wahi nahin to mahfil kaisi
tum baiTho hum to jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.