log phirte hain dar-ba-dar tanha
log phirte haiñ dar-ba-dar tanhā
ho gayā kyā har ek ghar tanhā
tū kisī āftāb kī mānind
vaqt kī oT se ubhar tanhā
rāsta ġham kā kitnā nāzuk hai
is taraf se kabhī guzar tanhā
kam se kam ho rahe haiñ ahl-e-hunar
rah na jaa.e kahīñ hunar tanhā
raushnī sab ke kaam aatī hai
sham.a jaltī hai raat bhar tanhā
chhoḌ de hausla jo saath agar
kaT nahīñ pā.egā safar tanhā
kaTtī jaatī hai zindagī to 'qamar'
hotī jaatī hai har Dagar tanhā
log phirte hain dar-ba-dar tanha
ho gaya kya har ek ghar tanha
tu kisi aaftab ki manind
waqt ki oT se ubhar tanha
rasta gham ka kitna nazuk hai
is taraf se kabhi guzar tanha
kam se kam ho rahe hain ahl-e-hunar
rah na jae kahin hunar tanha
raushni sab ke kaam aati hai
shama jalti hai raat bhar tanha
chhoD de hausla jo sath agar
kaT nahin paega safar tanha
kaTti jati hai zindagi to 'qamar'
hoti jati hai har Dagar tanha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.