log the jin ki aankhon mein andesha koi na tha
log the jin kī āñkhoñ meñ andesha koī na thā
maiñ jis shahr se guzrā us meñ zinda koī na thā
chīzoñ ke ambār lage the ḳhalq ārām se thī
aur mujhe ye rañj vahāñ afsurda koī na thā
hairānī meñ huuñ āḳhir kis kī parchhā.īñ huuñ
vo bhī dhyān meñ aayā jis kā saaya koī na thā
chauñk paḌā jab yādoñ meñ us kī āvāz sunī
bas apnī hī guuñj thī mujh meñ varna koī na thā
maiñ jis ḳhauf meñ thā us meñ kuchh aur bhī qaidī the
maiñ jis ḳhvāb meñ thā us meñ darvāza koī na thā
log the jin ki aankhon mein andesha koi na tha
main jis shahr se guzra us mein zinda koi na tha
chizon ke ambar lage the KHalq aaram se thi
aur mujhe ye ranj wahan afsurda koi na tha
hairani mein hun aaKHir kis ki parchhain hun
wo bhi dhyan mein aaya jis ka saya koi na tha
chaunk paDa jab yaadon mein us ki aawaz suni
bas apni hi gunj thi mujh mein warna koi na tha
main jis KHauf mein tha us mein kuchh aur bhi qaidi the
main jis KHwab mein tha us mein darwaza koi na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.