log waqif na rahe lazzat-e-ruswai se
log vāqif na rahe lazzat-e-rusvā.ī se
koī Takrātā nahīñ ab tire saudā.ī se
kunj-e-tanhā.ī se bāhar nahīñ nikle ham bhī
vo bhī fāriġh na huā anjuman-ārā.ī se
ḳhud ko bīmār-e-mohabbat se gurezāñ na samajh
ham bhī 'ājiz haiñ tire dast-e-masīhā.ī se
sūrmāoñ ne ye tahzīb na chhoḌī ab tak
sahme rahte haiñ abhī bhī vo baḌe bhaa.ī se
'anjum' ā'sāb sañbhālo hai yahī rang-e-bahār
bū-e-shauq aane lagī yaar kī añgḌā.ī se
log waqif na rahe lazzat-e-ruswai se
koi Takraata nahin ab tere saudai se
kunj-e-tanhai se bahar nahin nikle hum bhi
wo bhi farigh na hua anjuman-arai se
KHud ko bimar-e-mohabbat se gurezan na samajh
hum bhi 'ajiz hain tere dast-e-masihai se
surmaon ne ye tahzib na chhoDi ab tak
sahme rahte hain abhi bhi wo baDe bhai se
'anjum' aa'sab sanbhaalo hai yahi rang-e-bahaar
bu-e-shauq aane lagi yar ki angDai se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.