logo ye ajib saneha hai
logo ye ajiib sāneha hai
mujh meñ koī qatl ho rahā hai
kis kī hai talāsh kyā batā.eñ
apnā hī vajūd kho gayā hai
so.eñge azal meñ jā ke ham sab
duniyā to aziim rat-jagā hai
sach ko hai davām is jahāñ meñ
mujh se to yahī kahā gayā hai
marnā hai yahāñ bahut ġhanīmat
jiinā to muhāl ho chukā hai
degā vo zarūr sañg mujh ko
jis ne tujhe aa.ina kiyā hai
aa.ī hai tavīl hijr kī shab
ye dil sar-e-shām jal gayā hai
logo ye ajib saneha hai
mujh mein koi qatl ho raha hai
kis ki hai talash kya bataen
apna hi wajud kho gaya hai
soenge azal mein ja ke hum sab
duniya to azim rat-jaga hai
sach ko hai dawam is jahan mein
mujh se to yahi kaha gaya hai
marna hai yahan bahut ghanimat
jina to muhaal ho chuka hai
dega wo zarur sang mujh ko
jis ne tujhe aaina kiya hai
aai hai tawil hijr ki shab
ye dil sar-e-sham jal gaya hai
- Book : Asaleeb (Pg. 602)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.