logon ka ek hujum hai aisa nahin hai dost
logoñ kā ik hujūm hai aisā nahīñ hai dost
bas ek tū hī shahr meñ tanhā nahīñ hai dost
jis par ho aks thoḌā bahut mere dard kā
aisā koī nigāh meñ chehra nahīñ hai dost
jis tarah aap aa.e sunā kar chale ga.e
utnā bhī muḳhtasar mirā qissa nahīñ hai dost
ik baat tum se milte hī ham par ayaañ huī
ye dil hamāre jism kā hissa nahīñ hai dost
shāyad ye zindagī kā hai ab āḳhirī paḌāv
ab dil pe iztirāb kā ġhalba nahīñ hai dost
kartā rahūñgā āḳhirī lamhe tak intizār
is ke alāva koī bhī rasta nahīñ hai dost
logon ka ek hujum hai aisa nahin hai dost
bas ek tu hi shahr mein tanha nahin hai dost
jis par ho aks thoDa bahut mere dard ka
aisa koi nigah mein chehra nahin hai dost
jis tarah aap aae suna kar chale gae
utna bhi muKHtasar mera qissa nahin hai dost
ek baat tum se milte hi hum par ayan hui
ye dil hamare jism ka hissa nahin hai dost
shayad ye zindagi ka hai ab aaKHiri paDaw
ab dil pe iztirab ka ghalba nahin hai dost
karta rahunga aaKHiri lamhe tak intizar
is ke alawa koi bhi rasta nahin hai dost
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.