logon ka ek hujum mere aas-pas tha
logoñ kā ik hujūm mire ās-pās thā
jab maiñ safīr-e-gulshan-e-hosh-o-havās thā
tajvīz kī thī jis ne mohabbat mire liye
shāyad vo shaḳhs koī sitāra-shanās thā
jab tak charāġh-e-ālam-e-imkāñ jale rahe
raushan kitāb-e-ishq kā har iqtibās thā
jab tak vo ek zaat sharīk-e-safar na thī
merā vajūd mere liye be-asās thā
rahte the duur duur mire ham-ḳhayāl bhī
jab tak mire badan pe anā kā libās thā
jab tak mire lahū meñ harārat vafā kī thī
maiñ be-niyāz-e-shiddat-e-ḳhauf-o-hirās thā
kal shab hujūm-e-dil-zadagāñ meñ tire liye
auroñ kī tarah maiñ bhī sarāpā sipās thā
logon ka ek hujum mere aas-pas tha
jab main safir-e-gulshan-e-hosh-o-hawas tha
tajwiz ki thi jis ne mohabbat mere liye
shayad wo shaKHs koi sitara-shanas tha
jab tak charagh-e-alam-e-imkan jale rahe
raushan kitab-e-ishq ka har iqtibas tha
jab tak wo ek zat sharik-e-safar na thi
mera wajud mere liye be-asas tha
rahte the dur dur mere ham-KHayal bhi
jab tak mere badan pe ana ka libas tha
jab tak mere lahu mein hararat wafa ki thi
main be-niyaz-e-shiddat-e-KHauf-o-hiras tha
kal shab hujum-e-dil-zadagan mein tere liye
auron ki tarah main bhi sarapa sipas tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.