logon ki malamat bhi hai KHud dard-sari bhi
logoñ kī malāmat bhī hai ḳhud dard-sarī bhī
kis kaam kī ye apnī vasī.a-un-nazarī bhī
kyā jāniye kyuuñ sust thī kal zehan kī raftār
mumkin hui tāroñ se mirī ham-safarī bhī
rātoñ ko kalī ban ke chaTaktā thā tirā jism
dhoke meñ chalī aa.ī nasīm-e-saharī bhī
ḳhud apne shab-o-roz guzar jā.eñge lekin
shāmil hai mire ġham meñ tirī dar-ba-darī bhī
furqat ke shab-o-roz meñ kyā kuchh nahīñ hotā
qudarat pe malāmat bhī duā-e-saharī bhī
ik fard kī ulfat to baḌī kam-nazarī hai
hai kis meñ magar ahliyat-e-kam-nazarī bhī
logon ki malamat bhi hai KHud dard-sari bhi
kis kaam ki ye apni wasia-un-nazari bhi
kya jaaniye kyun sust thi kal zehan ki raftar
mumkin hui taron se meri ham-safari bhi
raaton ko kali ban ke chaTakta tha tera jism
dhoke mein chali aai nasim-e-sahari bhi
KHud apne shab-o-roz guzar jaenge lekin
shamil hai mere gham mein teri dar-ba-dari bhi
furqat ke shab-o-roz mein kya kuchh nahin hota
qudarat pe malamat bhi dua-e-sahari bhi
ek fard ki ulfat to baDi kam-nazari hai
hai kis mein magar ahliyat-e-kam-nazari bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.