logon mein dekh-bhaal ki aadat nahin rahi
logoñ meñ dekh-bhāl kī aadat nahīñ rahī
yā ā.inoñ kī shahr meñ qīmat nahīñ rahī
maanā koī nibāh kī sūrat nahīñ rahī
lekin nahīñ ki tujh se mohabbat nahīñ rahī
yuuñ bhī rihā.ī kā koī imkāñ nahīñ rahā
pahlī sī aarzū meñ bhī shiddat nahīñ rahī
varna koī to aatā mirā haal pūchhne
shāyad kisī ko merī zarūrat nahīñ rahī
us kā bhī be-vafāoñ meñ hone lagā shumār
apnī bhī jaise shahr meñ izzat nahīñ rahī
kuchh maiñ bhī thak ga.ī huuñ use DhūñDte hue
kuchh zindagī kī paas bhī mohlat nahīñ rahī
logon mein dekh-bhaal ki aadat nahin rahi
ya aainon ki shahr mein qimat nahin rahi
mana koi nibah ki surat nahin rahi
lekin nahin ki tujh se mohabbat nahin rahi
yun bhi rihai ka koi imkan nahin raha
pahli si aarzu mein bhi shiddat nahin rahi
warna koi to aata mera haal puchhne
shayad kisi ko meri zarurat nahin rahi
us ka bhi be-wafaon mein hone laga shumar
apni bhi jaise shahr mein izzat nahin rahi
kuchh main bhi thak gai hun use DhunDte hue
kuchh zindagi ki pas bhi mohlat nahin rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.