logon ne to samjha ki sahaaron pe khaDi hai
logoñ ne to samjhā ki sahāroñ pe khaḌī hai
is shāḳh-e-samar-dār pe saa.at ye kaḌī hai
ai karb-e-musalsal tū faqat itnā batā de
sāñsoñ kī chubhan hai ki tū ashkoñ kī laḌī hai
jaane kā irāda vo kiye baiThe haiñ ai dil
ab chhoḌ dhḌaknā ye qayāmat kī ghaḌī hai
chhoḌā thā jo ghar tum ne kabhī aa ke to dekho
har chiiz vahāñ aaj bhī vaise hī paḌī hai
ham hijr ke māroñ se bhalā kaise haTegī
mushkil kī to dīvār pe dīvār khaḌī hai
'iqrār' vo zinda hai magar mujh se bichhaḌ kar
sāñsoñ kī chubhan us kī bhī nas-nas meñ gaḌī hai
logon ne to samjha ki sahaaron pe khaDi hai
is shaKH-e-samar-dar pe saat ye kaDi hai
ai karb-e-musalsal tu faqat itna bata de
sanson ki chubhan hai ki tu ashkon ki laDi hai
jaane ka irada wo kiye baiThe hain ai dil
ab chhoD dhDakna ye qayamat ki ghaDi hai
chhoDa tha jo ghar tum ne kabhi aa ke to dekho
har chiz wahan aaj bhi waise hi paDi hai
hum hijr ke maron se bhala kaise haTegi
mushkil ki to diwar pe diwar khaDi hai
'iqrar' wo zinda hai magar mujh se bichhaD kar
sanson ki chubhan us ki bhi nas-nas mein gaDi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.