lubha rahi to hai duniya chamak damak ki mujhe
lubhā rahī to hai duniyā chamak damak kī mujhe
magar hayāt gavārā nahīñ dhanak kī mujhe
hamesha apnī laḌā.ī maiñ aap laḌtā huuñ
nahīñ rahī kabhī hājat kisī kumak kī mujhe
bahut dinoñ se zamān o makān haa.il haiñ
ki aas bhī na rahī ab tirī jhalak kī mujhe
mire qalam kī jo zad meñ ye bahr o bar aate
duhā.ī dene lage naan aur namak kī mujhe
mirā gumān yaqīñ meñ badaltā rahtā hai
samajhne vaale bhale hī samajh leñ shakkī mujhe
chunāñche gardish-e-ayyām thak ke baiTh ga.ī
maiñ saḳht-jān huuñ kyā pīstī ye chakkī mujhe
isī liye to maiñ nimTā rahā huuñ kaam apne
maiñ jāntā huuñ ki mohlat hai aaj tak kī mujhe
adā kiyā usī sikke meñ be-jhijak maiñ ne
huī jahāñ kahīñ mahsūs bū hitak kī mujhe
ḳharāb-hāl ye be-'ḳhair' o be-adab ho kar
bhaTak na jaa.e kahīñ fikr hai saḌak kī mujhe
lubha rahi to hai duniya chamak damak ki mujhe
magar hayat gawara nahin dhanak ki mujhe
hamesha apni laDai main aap laDta hun
nahin rahi kabhi hajat kisi kumak ki mujhe
bahut dinon se zaman o makan hail hain
ki aas bhi na rahi ab teri jhalak ki mujhe
mere qalam ki jo zad mein ye bahr o bar aate
duhai dene lage nan aur namak ki mujhe
mera guman yaqin mein badalta rahta hai
samajhne wale bhale hi samajh len shakki mujhe
chunanche gardish-e-ayyam thak ke baiTh gai
main saKHt-jaan hun kya pisti ye chakki mujhe
isi liye to main nimTa raha hun kaam apne
main jaanta hun ki mohlat hai aaj tak ki mujhe
ada kiya usi sikke mein be-jhijak main ne
hui jahan kahin mahsus bu hitak ki mujhe
KHarab-haal ye be-'KHair' o be-adab ho kar
bhaTak na jae kahin fikr hai saDak ki mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.