lughat mein dekh pahle pyar aata hai
luġhat meñ dekh pahle pyaar aatā hai
phir us ke baa'd hī sansār aatā hai
sunūñ maiñ jab kabhī duniyā kahīñ par bhī
tasavvur meñ mire bāzār aatā hai
taras kyā hai tumheñ kaise pata hogā
tumheñ to te se bas talvār aatā hai
gharoñ meñ bachchoñ ke hāthoñ meñ pahlī baar
khilaunā ban ke hī hathiyār aatā hai
sunā hai shor ḳhālī-pan kā maiñ ne bhī
mire bhī ghar meñ roz aḳhbār aatā hai
nisāb us kā ziyāda sahl hai shāyad
vo har paper meñ hī tayyār aatā hai
kahoge kyā kabhī kuchh aur bhī 'fānī'
yā tum ko sirf jī sarkār aatā hai
lughat mein dekh pahle pyar aata hai
phir us ke ba'd hi sansar aata hai
sunun main jab kabhi duniya kahin par bhi
tasawwur mein mere bazar aata hai
taras kya hai tumhein kaise pata hoga
tumhein to te se bas talwar aata hai
gharon mein bachchon ke hathon mein pahli bar
khilauna ban ke hi hathiyar aata hai
suna hai shor KHali-pan ka main ne bhi
mere bhi ghar mein roz aKHbar aata hai
nisab us ka ziyaada sahl hai shayad
wo har paper mein hi tayyar aata hai
kahoge kya kabhi kuchh aur bhi 'fani'
ya tum ko sirf ji sarkar aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.