lunj vo pā-e-talab huuñ kahīñ jā hī na sakūñ
shal ye ho dast-e-havas haath baḌhā hī na sakūñ
zid ye us ko hai jo royā maiñ bhī chhup kar jā.ūñ
khol dī aañkh nazar ḳhvāb meñ aa hī na sakūñ
dekh kar husn butoñ kā jo ḳhudā se phir jaa.e
dil-e-gumrāh ko phir raah pe lā hī na sakūñ
madad ai dast-e-junūñ pairahan-e-gul kī tarah
ye phaTe jāma-e-aslī ki silā hī na sakūñ
yā ilāhī shab-e-vaslat jo kahe jaane ko
paañv so jaa.eñ ye us ke ki jagā hī na sakūñ
maiñ vo ġham-ḳhvār huuñ ġham aañkh kī putlī kā tirī
dāna-e-ḳhāl nahīñ hai ki jo khā hī na sakūñ
husn-e-mahfil hai to hone do usī ḳhalvat meñ
band quliyān nahīñ haiñ jo bulā hī na sakūñ
sifat saaya vo ik jān-e-do-qālib huuñ maiñ
duur ho laakh kabhī paas se jā hī na sakūñ
nazar uftāda vo huuñ ashk-e-chakīda kī tarah
girūñ āñkhoñ se to nazroñ meñ samā hī na sakūñ
ai kamāñ-dār jo tū mujh ko bulā.e sau baar
tīr-e-jasta maiñ nahīñ huuñ ki phir aa hī na sakūñ
ai sanam jo tū na maan.e ho tirī mahfil se
ġhair kyā naaz tirā hai ki uThā hī na sakūñ
na sahī vasf-e-dahan baal to suljhāne do
zulf kuchh baat nahīñ hai jo banā hī na sakūñ
khā.ūñ saugand pe sahvan qasam ai but tirī
qasmiya bhī jo maiñ khā.ūñ kabhī khā hī na sakūñ
ta.ana-e-ġhair se ai zo.af jo baiThe dil-e-zār
baat vo bār-e-garāñ ho ki uThā hī na sakūñ
kyā tamāshā hai ki nazroñ meñ hai lekin ai 'shād'
qurb-e-shah-rag maiñ jo DhūñDūñ use pā hī na sakūñ
lunj wo pa-e-talab hun kahin ja hi na sakun
shal ye ho dast-e-hawas hath baDha hi na sakun
zid ye us ko hai jo roya main bhi chhup kar jaun
khol di aankh nazar KHwab mein aa hi na sakun
dekh kar husn buton ka jo KHuda se phir jae
dil-e-gumrah ko phir rah pe la hi na sakun
madad ai dast-e-junun pairahan-e-gul ki tarah
ye phaTe jama-e-asli ki sila hi na sakun
ya ilahi shab-e-waslat jo kahe jaane ko
panw so jaen ye us ke ki jaga hi na sakun
main wo gham-KHwar hun gham aankh ki putli ka teri
dana-e-KHal nahin hai ki jo kha hi na sakun
husn-e-mahfil hai to hone do usi KHalwat mein
band quliyan nahin hain jo bula hi na sakun
sifat saya wo ek jaan-e-do-qalib hun main
dur ho lakh kabhi pas se ja hi na sakun
nazar uftada wo hun ashk-e-chakida ki tarah
girun aankhon se to nazron mein sama hi na sakun
ai kaman-dar jo tu mujh ko bulae sau bar
tir-e-jasta main nahin hun ki phir aa hi na sakun
ai sanam jo tu na mane ho teri mahfil se
ghair kya naz tera hai ki uTha hi na sakun
na sahi wasf-e-dahan baal to suljhane do
zulf kuchh baat nahin hai jo bana hi na sakun
khaun saugand pe sahwan qasam ai but teri
qasmiya bhi jo main khaun kabhi kha hi na sakun
tana-e-ghair se ai zoaf jo baiThe dil-e-zar
baat wo bar-e-garan ho ki uTha hi na sakun
kya tamasha hai ki nazron mein hai lekin ai 'shad'
qurb-e-shah-rag main jo DhunDun use pa hi na sakun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.