luT gaya chain tere jaane se
luT gayā chain tere jaane se
aañkh bhar aa.ī muskurāne se
shab kī tanhā.iyoñ meñ terī yaad
kam nahīñ hai kisī ḳhazāne se
yūñhī aatā nahīñ maiñ tere paas
rabt baḌhtā hai aane jaane se
kī jo us ne zarā sī dil-jūī
ġham bhī lagne lage suhāne se
miT nahīñ saktī dil kī vīrānī
ghar ke dīvār-o-dar sajāne se
vo huā jab bhī pyaar se goyā
baj uThe dil meñ shādiyāne se
tanhā insān ke liye 'hātif'
kam nahīñ ghar bhī qaid-ḳhāne se
luT gaya chain tere jaane se
aankh bhar aai muskurane se
shab ki tanhaiyon mein teri yaad
kam nahin hai kisi KHazane se
yunhi aata nahin main tere pas
rabt baDhta hai aane jaane se
ki jo us ne zara si dil-jui
gham bhi lagne lage suhane se
miT nahin sakti dil ki virani
ghar ke diwar-o-dar sajaane se
wo hua jab bhi pyar se goya
baj uThe dil mein shadiyane se
tanha insan ke liye 'hatif'
kam nahin ghar bhi qaid-KHane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.