luT jae chaman gul ka tabassum nahin bikta
luT jaa.e chaman gul kā tabassum nahīñ biktā
sau daam hoñ bulbul kā tarannum nahīñ biktā
bik jaatā hai zardār kī ulfat kā tayaqqun
nādār kī chāhat kā tavahhum nahīñ biktā
baḌhtī hai baḌhe garmī-e-bāzār havas kī
lab bikte haiñ ai dost tabassum nahīñ biktā
lab sī do zabāñ khīñch do suulī pe chaḌhā do
haq-go kā zamāne meñ takallum nahīñ biktā
hālāt ne kar rakkhā ho mahkūm bhī 'āmir'
ḳhuddār irādoñ kā tahakkum nahīñ biktā
luT jae chaman gul ka tabassum nahin bikta
sau dam hon bulbul ka tarannum nahin bikta
bik jata hai zardar ki ulfat ka tayaqqun
nadar ki chahat ka tawahhum nahin bikta
baDhti hai baDhe garmi-e-bazar hawas ki
lab bikte hain ai dost tabassum nahin bikta
lab si do zaban khinch do suli pe chaDha do
haq-go ka zamane mein takallum nahin bikta
haalat ne kar rakkha ho mahkum bhi 'amir'
KHuddar iradon ka tahakkum nahin bikta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.