luT jati hai har chiz wo tinka ho ki shahtir
luT jaatī hai har chiiz vo tinkā ho ki shahtīr
haañ luTne se rah jaatī hai ik dard kī jāgīr
ai kaash koī kah sake aisā koī ik sher
ik sher jo fil-faur hī ban jaatā ho tasvīr
santūr pheran qahva chīnār aur shikārā
un lafzoñ se ubhrā hai sadā zehn meñ kashmīr
go zehn ko ma.alūm hai ab saarī haqīqat
ab bhī magar is dil se bañdhī chāñd kī zanjīr
ik saada varaq jazb the jis meñ ka.ī aañsū
ik mere sivā paḌh na sakā koī vo tahrīr
luT jati hai har chiz wo tinka ho ki shahtir
han luTne se rah jati hai ek dard ki jagir
ai kash koi kah sake aisa koi ek sher
ek sher jo fil-faur hi ban jata ho taswir
santur pheran qahwa chinar aur shikara
un lafzon se ubhra hai sada zehn mein kashmir
go zehn ko malum hai ab sari haqiqat
ab bhi magar is dil se bandhi chand ki zanjir
ek sada waraq jazb the jis mein kai aansu
ek mere siwa paDh na saka koi wo tahrir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.