luT rahi hai daulat-e-didar qaisar-bagh mein
luT rahī hai daulat-e-dīdār qaisar-bāġh meñ
misl-e-gul sab ho ga.e zardār qaisar-bāġh meñ
dekhte haiñ yaar kā paḌhtā hai kalima kaun kaun
jam' haiñ sab kāfir-o-dīñdā qaisar-bāġh meñ
ham se aañkh us ne laḌā.ī tevrī badlī ġhair ne
chalte chalte rah ga.ī talvār qaisar-bāġh meñ
us kamāñ-abrū ne kiiñ dil par nazar-andāziyāñ
ham pe tīroñ kī huī bauchhār qaisar-bāġh meñ
gaate haiñ murġhān-e-gulshan peñg detī hai sadā
jabki jhūlā jhūltā hai yaar qaisar-bāġh meñ
be-ḳhudī chhā.ī huī hai ye sharāb-e-aish kī
mast do bāhar paḌe haiñ chaar qaisar-bāġh meñ
yaañ havā meñ hai dam-e-īsā kā 'ālam kyā 'ajab
paa.e sehat nargis-e-bīmār qaisar-bāġh meñ
maiñ to kyā hote haiñ gul bhī kushta-e-teġh-e-ḳhirām
bāñkī tirchhī chalte ho raftār qaisar-bāġh meñ
jalva-afgan nuur ke haiñ phuul phal tuubā kī tarf
ḳhuld se mañgvā.e haiñ ashjār qaisar-bāġh meñ
ab to ai rashk-e-chaman sūrat dikhānā chāhiye
nāla-kash hai andalīb-e-zār qaisar-bāġh meñ
vo na the pahlū meñ to us ne bhī kī pahlū-tahī
mujh se dil meñ dil se thā bezār qaisar-bāġh meñ
daur-e-ishrat hai ye zoroñ par haiñ mai-kash kyā 'ajab
mohtasib kī chhīn leñ dastār qaisar-bāġh meñ
aamad aamad hai salāmī ko hamāre shaah kī
haiñ javānān-e-chaman tayyār qaisar-bāġh meñ
mohtasib ke haath se tang is qadar haiñ ai 'qalaq'
aa.e haiñ nālish ko sab mai-ḳhvār qaisar-bāġh meñ
luT rahi hai daulat-e-didar qaisar-bagh mein
misl-e-gul sab ho gae zardar qaisar-bagh mein
dekhte hain yar ka paDhta hai kalima kaun kaun
jam' hain sab kafir-o-dinda qaisar-bagh mein
hum se aankh us ne laDai tewri badli ghair ne
chalte chalte rah gai talwar qaisar-bagh mein
us kaman-abru ne kin dil par nazar-andaziyan
hum pe tiron ki hui bauchhaar qaisar-bagh mein
gate hain murghan-e-gulshan peng deti hai sada
jabki jhula jhulta hai yar qaisar-bagh mein
be-KHudi chhai hui hai ye sharab-e-aish ki
mast do bahar paDe hain chaar qaisar-bagh mein
yan hawa mein hai dam-e-isa ka 'alam kya 'ajab
pae sehat nargis-e-bimar qaisar-bagh mein
main to kya hote hain gul bhi kushta-e-tegh-e-KHiram
banki tirchhi chalte ho raftar qaisar-bagh mein
jalwa-afgan nur ke hain phul phal tuba ki tarf
KHuld se mangwae hain ashjar qaisar-bagh mein
ab to ai rashk-e-chaman surat dikhana chahiye
nala-kash hai andalib-e-zar qaisar-bagh mein
wo na the pahlu mein to us ne bhi ki pahlu-tahi
mujh se dil mein dil se tha bezar qaisar-bagh mein
daur-e-ishrat hai ye zoron par hain mai-kash kya 'ajab
mohtasib ki chhin len dastar qaisar-bagh mein
aamad aamad hai salami ko hamare shah ki
hain jawanan-e-chaman tayyar qaisar-bagh mein
mohtasib ke hath se tang is qadar hain ai 'qalaq'
aae hain nalish ko sab mai-KHwar qaisar-bagh mein
- Mazhar-e-Ishq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.