luTae baiTha hun raKHt-e-safar mohabbat mein
luTā.e baiThā huuñ raḳht-e-safar mohabbat meñ
lagā.e baiThā huuñ maiñ ghar kā ghar mohabbat meñ
kaTore ḳhuun ke bhar bhar ke denā paḌte haiñ
to jā ke aatā hai kuchh kuchh asar mohabbat meñ
qadam qadam pe zamāna harīf hotā hai
qadam qadam pe bichhaḌne kā Dar mohabbat meñ
jalāo hoñT mohabbat kī pakkī cigarette se
phiro udaas raho dar-ba-dar mohabbat meñ
havās-bhāḳhta phirtā huuñ ek muddat se
ki ab to jā.egā shāyad ye sar mohabbat meñ
ye aañkh dīda-e-bīnā nahīñ banā kartī
lahū kī buuñd na Tapke agar mohabbat meñ
luTae baiTha hun raKHt-e-safar mohabbat mein
lagae baiTha hun main ghar ka ghar mohabbat mein
kaTore KHun ke bhar bhar ke dena paDte hain
to ja ke aata hai kuchh kuchh asar mohabbat mein
qadam qadam pe zamana harif hota hai
qadam qadam pe bichhaDne ka Dar mohabbat mein
jalao honT mohabbat ki pakki cigarette se
phiro udas raho dar-ba-dar mohabbat mein
hawas-bhaKHta phirta hun ek muddat se
ki ab to jaega shayad ye sar mohabbat mein
ye aankh dida-e-bina nahin bana karti
lahu ki bund na Tapke agar mohabbat mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.